Straight from my heart
Dear Dairy,
This poem/thoughts, I penned down when my mom left us on 18 June 2015 :
a routine summer vacation trip changed into a life altering transforming trip.
Maa to maa hai, maa ki umar nahin hoti,
Kuch rishton ki umar nahin hoti.
Faaslein na honn ,

to yatra khatam nahin hoti.
Yeh ehsaas unko hi hai,
Yeh ehsaas unko hi hai,
jisne kisi apne to khoya hai ,
Varna aise berukhi se na poochte ,
" kitne saal ki thi auntiji"
Aur uske baad ka yeh dil todne wala jawab " phir to theek hai "
Aur uske baad ka yeh dil todne wala jawab " phir to theek hai "
Kya kahein unse, saal nahin, ve to har pal mein sau saal jeei hain hamesha,
har pal ko jeena sikha gayein hain.
Aakhri lamhe mein bhi woh apni baat keh kar, bina vilambh ke parmatma ke paas chali gayein hai!"
Aakhri lamhe mein bhi woh apni baat keh kar, bina vilambh ke parmatma ke paas chali gayein hai!"
Kaun kehta hai, maa ki kitni umar sahi hai: yeh sansaar chodne ke liye ?
Apna vazood aur sanskars apne bachhoon aur aage ki peedi mein chhod gayi hain!
Woh zinda hai meri har baat mein, mere har khayal mein, meri har soch mein, meri har kalpana mein!
Kaun kehta hai " ma ki kitni umar hai?" Maa to Maa hai : Maa ki koi Umar nahin Maa to amar hai, ajar hai.
Juju.
Love u mom#feel u
From this world to your world
: till v meet again up there
Comments
👌👍
Bahut behatreen!